Life History of Nawaz Sharif in Urdu

Life History of Nawaz Sharif in Urdu

Mian Mohammad Nawaz Sharif was born 25 December, 1949. his father muhammad Sharif was an upper middle class businessman and industrialist who had migrated from Amritsar district to Pakistan during the 1947 Indian partition. He went to Saint Anthony High School. He graduated from the Government College University of Lahore with and art and business degree and then received a law degree from the University of Punjab. He is married to Kalsoom Nawaz Sharif.
After his education, Sharif joined his father's steel conglomerate, the Ittefaq Group of Industries, as chief executive officer in early 1975. In 1976, Sharif politically motivated himself and joined the Pakistan Muslim League. In 1981 Sharif joined the Punjab Advisory Board under General Zia-ul-Haq and principally rose to public.

Biography of Nawaz Sharif in Urdu

Mian Muhammad Nawaz Sharif 25 December 1949 ko Lahore mein paida huye. Nawaz Sharif ke father ka naam Muhammad Sharif hai. jo keh qyam-e-Pakistan ke waqt amar tashar se Lahore aaye. Nawaz sharif ne Saint Anthony High School Lahore se matric kia. jabkeh Government College se Graduation aur Punjab University se qanun ki digree hasil ki.
Nawaz Sharif
Nawaz Sharif
Iss ke baad inhon ne apna steel refinery ka plant lagaya aur chote paimane par zati karo bar shoro kardia. lekin in ki siasi lagao ne siasi sargarmion mein laga dia. Muhammad shareef ne apne bete ko General Ghulam Jilani Khan ke hawale se General Zia se milwaya. iss tarah nawaz shrif ne Lahore ki siasi sargharmiun mein apna naam paida kia aur Punjab Provisional council ka member ban gaye. Phir 1981 ke baad Nawaz Sharif Punjab ki subayi kabina ke wazir muntakhab huye aur apne halqe mein taraqiati kam shoro kar diye. 1988 mein General Zia-ul-Haque ne assembly tor din aur yeh nigran wazeer Aala Punjab banaya gaye. phir jab aam intekhabat huye to Nawaz Sharif kamyab ho kar wazeer aala Punjab muntakhab ho gaye. 17 August 1988 mein zia-ul-Haque ka Plan hadse mein inteqaal ho gia aur phir Pakistan ke siasi maidan mein tughyani paida ho gayi. bala akhir 1990 ke aam intekhab mein Nawaz Sharif Muslim League ke plate form se kamyab ho kar Pakistan ka Wazir Azam ban gaye. Wazarat Uzma ke baad inhun ne mulk bhar mein cription ke khelaf crack down ka nara lagaya aur 1992 mein Karachi aur degar shahron mein shar pasandon aur rishwat khor adaron ke khelaf qadre kamyabi hasil karli. lekin mulki halat phir bhi nasazgar hote gaye aur 18 April 1993 ko General Ghulam Ishaq Khan ne athween tarmeem ke tehat assemlies tori aur Nawaz sharif ko bartaraf kardia. Nawaz Sharif ne apne dor-e-Hukumat mein niji aur sarkari shobon mein kai khatir khwa mansube tarteeb diye. jin mein ghazi brotha aur Guadar bandar gah jaise mansube shamil the. 1997 mein dusri martaba Nawaz Sharif Pakistan Pupuls Parti ke muqable mein bhari aksaryat se kamyab hoye aur Pakistan ka wazeer Azam muntakhab hoye. jabkeh Punjab ka Wazeer Alaa In ka bhai Shahbaz Sharif huye.Isi saal Nawaz Sharif ne dahshat gardi ke khelaf act par dastakhat kiye aur baqaida tor par dahshat gardi ke khelaf makhsus adalton mein karwai ka mansuba banaya. apne iss dor mein Nawaz Sharif ne khatir khwa maqbulyat hasil ki jis ki waja 367 km janubi Asia ke motar way ka qiaam tha jo Lahore se Islamabad ja milta hai. phir iss ki shuhrat ka graph mazeed buland ho gia ja 28 May 1998 ko bharat ke nuclear dhamakon ke jawab mein itami dhamake kiye gaye aur Pakistan itomic Power ban gia.
October 1998 mein General Jahangeer karamat mustafi ho gia aur Nawaz Sharif ne General Pervaiz Musharraf ko Armi ka sarbarah bana dia. lekin baad mein Nawaz Sharif ko Pervaiz Musharraf ne buhat mushkilat se do char kia. iss tarah Armi hukumat ke darmian aik khalij qayam ho gai aur mulki halat phir ghair mustahkam ho gaye. 1999 mein kargil ki jung ka samna hua. jis mein bharat aur pakisatn ko kafi jani aur mali noqsan ka samna karna para. lekin Amarican Prasident Bil Clington ke dabao se kargil ke halat normal huye aur donon mumalik ki fojain wapis lot gayin.
lekin iss ke baad Nawaz Sharif ke siasi hatcandey mazbut ho gaye the. jis ki wajah se Nawaz Sharif ko taiyara sazish case mein phansa dia gia aur Musharraf ne hukumat sanbhal li. Musharraf ne isi case mein Nawaz Sharif ko jila watan kar dia. in dinon Nawaz sharif ne Saudi Arab ko apna maskan banaya. lekin Musharraf ki aath sala hukumat mein Nawaz Sharif pakistan mein baqaida tor par na aasaka. lekin PPP ki rahnumai aur chair person Benazir Bhutto ki kawishon se Nawaz Sharif ko Pakistan aane ki ijazat mili. lekin Pakisatan mein phir iss ke khelaf pabandion ke tufan ghare ho gaye. bala aakhir foji hukumat ko 2008 mein aam intekhab kar wane pare jis ke natije mein PPP ko kamyabi huyi. lekin Nawaz Sharif ki parti ne suba Punjab mein aksaryat qayam rakhi aur iss ke bhai ne wazarat aala ka uhda sanbhal lia. ab Nawaz Sharif Pakistan Muslim League N ka qaid aur maaruf siasi leader ke naam se jane jate hai.

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.