Aamir Bin Ali Poetry, Shairy in Urdu, Ghazal, Nazam. Urdu Poetry-SMS-Love-Romantic-Funny-Shayari-Sad Poetry-Poetry in Urdu

      Aamir Bin Ali Poetry, Shairy in Urdu, Ghazal, Nazam


Amir bin ali poetry, amir bin ali shayari, ghazal, nazam, urdu shayari, urdu poetry, urdu ghazal, urdu nazam
Mujhay jinay kay mainay day gia woh
Ajab apni nishani day gia woh

Meri sonchon kay thehray paniyon ko
Naye dhab ki rawani day gia woh

Jharay yadon kay sukhay Janglon ko
Ghata ban kar jawani day gia woh

****************************

Sonchta rehta hon mein aksar
Jab bhi akela hota hon

Yeh phool aakhir kiun mur jhatay hain
Kuch namon ka sunkar aakhir

Hansti basti aakhon mein
Aanso kiun kar aajatay hain?

****************************

Tujhay Tujh say Churana Chahta Hon

Tujhay tujh say churana chahta hon
Janon ko aazmana chahta hon

Hamaray darmiyan jo mojzan tha
Wahi rishta purana chahta hon

Makan badlay hai kitnay is nagar mein
Mein ab kay ghar basana chahta hon

Samay ki aandhiyon say bujh na paye
Dia aisa jalana chahta hon

Yeh dunya to bhat choti hai jana'n
Teray dil mein samana chahta hon

Tumhara sath ho aur geet likhon
Mein jiwan shairana chahta hon

******************************
Itna Bhi na Kah Paya

Mein buhat hi Buzdil tha
Aur kam sukhan sa bhi

Tu buhat Bahadur thi
Aur Jan e Mehfil bhi

Sad hazar logon kay
Tanha dil ki dharkan bhi

Mein buhat buzdil tha
Itna bhi na keh paya

Tujh peh meri jan wari
Tu buhat hi hai pyari

*****************************

Zindagi katha'n to hai
Be watan parindon ki

Bay zameen podo'n ki
Apnay des say bichray

Bd naseeb logo'n ki
Phir bhi jab bahar aaye

Sab parinday shakho'n par
Chehchanay lagtay hain

Phool khilnay lagtay hain
Kam naseeb shakhon peh

Bay watan musafir bhi
Mehrban hawaon say

Gham ko bhool jatay hain
Chahay chund lamhay hi

Jab bahar aati hai
Mojzay dikhati hai

****************************

Guzar gia hai zamana teri judayi mein
Magar khuda ki qasam har qadam phe aati hain

Woh teray lms ki yadein keh jhoom uthta hon
Woh barishon mein tera khushbooyein jaga dena

Woh mera nachna aur tera muskura dena
Phir is kay baad teri sari dilruba yadein

Sulagtay aansooyon mein dhal kay girnay lagti hain
Kabhi kabhi meray lagzon mein dhalnay lagti hain

Mein teri simt palt aayon ga kabhi lekin
Meri zameen meray qadmon ko mat bhoola dena

****************************

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.